Saturday 27 August 2011

Eid Shopping ki Ek Kahani



This script and story is entirely fictional. All of the incidents are a product of the writer's imagination.


At a local Tesco store


Asad: 
Rozi, jaldi karo iftaari ka time kareeb hai aur abhi hamari aadhi shopping parhi hui hai.


Rozi:
Shopping list nikalo, dekho aur kya kya cheezain rehti hain?


Asad (smiling):
Main husband hoon, tumhara personal computer nahin, samjhi kya?


Rozi:
O maaf kar bara aaya husband, shopping list kadd nithay behzti kar soon.


Asad:
Tu ghaar jull main tukki sidha karsan, aye iftaaaari jaldi aa bari pukh lagi vi


Rozi (sarcasm):
Poori England main sirf tum ne hi hai roza rakha hai, baaki sab ko maaf hain naa.


Asad:
Tesco se aur kuch nahin chahiye, ab chalo kapron ki shopping kartey hain, Eid ka din aa raha hai.


Rozi:
Teek hai meray personal computer, chalo bachon ko school se pick kar ke hum town chaltey hain.


At Town Shopping Centre


Rozi: 
Ali aaj hum Eid ki shopping karengay aur tum good boy banogey, jaisay ek grown up 8-year old ko hona chahiye.


Asad: 
Aur Aleena, tumhay ek 10-year old ki tarah behave karna hai.


Aleena: 
Ok Dad but you have to buy me lots of presents for Eid.


Ali: 
Mom, I want Adidas trainers and a Nike hoody.


Rozi: 
Ok Ali we will find you something nice.


Asad:
Rozi, itnay expensive kapray nahin khareed saktay hum.


Rozi:
Chup karo tum please, mera beyta jo maangey gaa main usay doongi.


Asad:
Aye, mera beta bhi hai naa, naraaz kyun ho rahi ho.


Rozi:
Aisi baatein kyun kar rahay ho, aur woh bhi Eid se kuch din pehlay.


Asad:
Tum nahin samjhogi, main apni marzi se nahin kar raha yeh sab baatein, yeh meri majboori hai. Tumhay pata hai naa kitnay bills aaye huay hain, oopar se mortgage bhi parhi hai.


Rozi:
Bassss, nahin sun sakti yeh sab, kitni baar bataoge.


Asad:
Tum bina wajah naraaz ho rahi ho, main sirf baat kar raha hoon.


Rozi:
Is topic pe mujhey koi baat nahin karni.


Asad:
Paagal ho kya, dimagh kharab ho gaya kya tera?


Rozi:
Don't talk to me like that Asad, stop creating a scene for God's sake.


Asad:
Scene? main tumhay ek scene lagta hoon kya? Paisay nahin hain mere paas, ghar ka kharcha nahin poora ho raha aur tum shopping aisay kar rahi ho jaisay ke Queen ki beti ho tum.


Rozi:
Just leave me alone, go back to the car.


Asad:
Main sorry hoon, please dil pe mat lo yaar. Meray kehnay ka matlab hai ke humein soch samajh ke shopping karni chahiye, kya faida expensive kapray khareednay ka. Jab hum bachay thay yeh sab kuch nahin kartay thay....jo milta tha hum khush thay.


Rozi:
I said go away, I don't want to talk to you right now.


Asad:
Teek hai tum shopping kar lo main gaari main intezaar karta hoon.


Later on in the Car


Asad:
Shopping ho gayi phir?


Rozi:  
Jee haan, bachon ke liye kapray khareed liye..


Asad:
Aur apney liye?


Rozi:
Mujhey kuch nahin chahiye


Asad:
Rozi, main apney kiye pe sharminda hoon, mujhey aisa nahin karna chahiye tha. Mujhey pata hai ke tum mujhse bhi zyada samajhdar ho aur yeh baatein tum already jaanti ho.


Rozi:
It's ok yaarraa, choti moti baatein ho jaati hain, dil bara ho to banda maaf kar deyta hai.


Asad:
So sweet Rozi, thank you so much for forgiving me, main pata nahin kya soch raha tha, paisa kya cheez hai, tumharey liye aur apni family ke liye main apni jaan dey sakta hoon.


Rozi:
Thank you buddy, you're a sweetheart and I know you sometimes lose the plot but that's ok, you still mean the world to me.


Asad:
Chalo phir ghar chaltey hain, Iftaari ka time ho jayega.


Rozi:
Let's go, can't wait for Eid, it's gonna be so good.


Asad:
Of course, waisay tumhay kapray khareednay ki zaroorat nahin hai, maine tumharey liye khareed liye hain.


Rozi:
Paagal, pata nahin kya liya hoga, Asad, Eid kapron ke saath nahin hoti, Eid apnon ke saath hoti hai.


 
Design by Wordpress Theme | Bloggerized by Free Blogger Templates | coupon codes