Showing posts with label Shayari and Quotes. Show all posts
Showing posts with label Shayari and Quotes. Show all posts

Tuesday, 17 January 2012

Kaaghaz Qalam aur Main - Urdu Shayari



Kaaghaz, Qalam aur Main
Jab bhi ek saath hotay hain
Kuch Aisa Kaam Kerte Hein...
Main Apni Rooh Ke Goshon Se
Lafz Talaash Kerti Hoon…
Qalam Unn Sabhi Lafzon Ko Bikhair Deta Hai…


Aur Kaaghaz Unhen Samait Leta Hai…
Bas Yahi Kaam Kerte Hein,,
Sabhi Ache Lafz Chunn Ker
Tumhara Naam Likhte Hein…!!


Friday, 13 January 2012

Sunday, 27 November 2011

Islam Ko Apna Banaa Lo - Islamic Urdu Shayari



















Islam ki roshni se apnay dilon main ujalon ki baarish kar do,


ek baar deen waali zindagi jee lo,


phir naa bhaago ke idhar udhar,


saari daulat, saari kamyaabi deen main karo haasil,


ek baar to mauqa dey do apnay aap ko,


zindagi ek baar hai, mauqa har roz naa khoya karo,


aaj hi shuru karo, aaj hi apnay Deen ko maqsad banaa lo,


ek baar zindagi ko jee lo, sakoon saaray jahaan ka apna banaa lo....


naa jiyo udhaasi main, naa andheron main raho,


aa jao Islam ko apna banaa lo...


Wednesday, 23 November 2011

Sunday, 20 November 2011

In Loving Memory of my Beautiful Cat


















Yaad hai mujhey jab tu aati thi mere paas,
shaam ka waqt hota tha aur hum roti khaa rahay hotay thay,
tera mere paas aana mujhey tang karta tha,
baar baar tujhay khaanay ke liye kuch deyna,
aur tera baar baar wapas aa jaana....

Itni pyaari itni masoom thi tu,
kaisay din thay woh jo guzar gaye,
teri khoobsurat aankhon main sachai thi,
tere kadmon main kuch baat thi...

Naa main teri boli ko samajh paaya,
naa tu meri zubaan main kuch keh paayi,
lekin aankhon se to aksar baatein kiya kartay thay..

Bas teri yaad hi reh gayi hai ab,
door ho gayi hai tu mujh se....
ek aakhri baar tujhey dekhnay ki arzoo
bhi adhoori reh gayi...

In memory of my lovely and cute cat



Saturday, 19 November 2011

Computer Science & Love Remixed
















Abhi abhi to pyaar ka computer kiya hai chaaloo
Aab main dil ki hard disk pe aur kitni files daaloo


Apne chehare se ruswaai ka error to hatao
Ai jaaneman apne dil ka password to batao


Woh to hum hain jo aap ki chahat dil main rakhte hain
Warna aap jaise kitney hi softwares bazaar main bikte hain


Roz raat ko aap mere sapne main aate ho
Mere pyar ko mouse bana ke ungaliyon pe nachaate ho


Tere pyar ka email mere dil ko Lubhataa hai
Par beech main tere baap ka virus aataa hai


Aur karvaaoge humse kitnaa intezaar
Hamaare dil ki site pe kabhi enter to maro yaar


Apni insult ka badalaa dekhna main kaise loonga
Jaaneman tere baap ko Shift Delete kar doonga


Aap jaiso ke liye dil ko cut ker diya karte hai
Warna baaki cases main to copy paste kiya karte hai


Aapka hasnaa aap ka chalnaa aap ki woh style
Aapke adaaon ki hamne save hai kar li file

Thursday, 17 November 2011

Thursday, 27 October 2011

Thukra ke usne Mujhko, kaha ke Muskuraao!













Thukra ke usne mujhko,
kaha ki muskuraao!
Maine hass diya,
aakhir sawal uski khushi ka tha.
Maine khoya woh jo mera tha hi nahi,
Usne khoya wo jo sirf usi ka tha.
*~*~*~*~*~*~*~*~
*~*~*~*~*~*~*~*~
Dard me koi mousam pyaara nahi hota,
Dil ho pyaasa to paani se guzara nahi hota.
Koi dekhe to humari bebasi,
Hum sabhi ke ho jate hain
Par koi humara nahi hota.
*~*~*~*~*~*~*~*~
*~*~*~*~*~*~*~*~
Mana ki tum jeete ho zamane ke liye,
ek bar jee ke to dekho hamare liye.
dil ki kya aukaat aap ke saamne,
hum to jaan bhi de denge aap ko pane ke liye.
*~*~*~*~*~*~*~*~
*~*~*~*~*~*~*~*~
Jo Tune Diya Usse Hum Yaad Karenge,
Har Pal Tere Milne Ki Faryaad karenge.
Chale Aana Jab Kabhi Khayal Aaye Mera,
Hum Roz Tujhe Yaad Karenge.
*~*~*~*~*~*~*~*~
*~*~*~*~*~*~*~*~
Dosti ki gehrai judai me bhi hoti hai,
Baate to hoti rehti hai.
Par bina baato ki dosti jab zinda rahey,
Tabhi us mein sachai hoti hai.
*~*~*~*~*~*~*~*~
*~*~*~*~*~*~*~*~
Just because somebody doesn't love you
the way you want them to,
doesn't mean they don't love you
with all they have.

Tuesday, 18 October 2011

Maa Aakhir Maa Hoti Hai




















Mout ki aghosh main jab thak k so jati hai MAA
Tab kaheen ja kar thora sa sakoon pati hai MAA


Rooh k rishton ki ye gheraiyan tu dekhiye
Chot lagti hai hamey or chillati hai MAA


Pyar kehty hain kisay or Mamta kiya chez hai
Koi un bachon se pochiye jin ki mar jati hai MAA


Zindagani k safar main gardishon ki dhoop main
Jab koi saya nahi milta tu yaad ati hai MAA


Kab zaroorat ho mery bachy ko
Jagti rehti hain Ankhain or so jati hai MAA


Bhook se majboor ho kar mehman k samny 
Mangtay hain bachy jab roti tu sharmati hai MAA


Jab khilonay ko machalta hai koi ghurbat ka phool
Ansoun k saaz par bachay ko behlati hai MAA


Lot kar wapas safar se jab bhi ghar atay hain hum
daal kar bahain galy main sar ko sehlati hai MAA


Aysa lagta hai jesay agaye Firdous main
Khench kar bahon main jab seenay se liptati hai MAA


Der ho jati hai ghar anay main aksar jab kabhi
Rait par machli ho jesy.. aysy ghabrati hai MAA


Shukar ho he nahi sakta us ka ada
Marty marty bhi dua jeenay ki day jati hai MAA.............



Saturday, 1 October 2011

Jab Bhi Kabhi Mere Kareeb Aayega Woh





Jab Bhi Kabhi Mere Karib Aayega Vo
Dil Ko Khushion Se Bhar Jaayega Vo
Kho Jaaungi Uske Sapno Main Hi Phir
Pyaar ‘Sandhaya’ Pe Aise Lutayega Vo
Samete Hai Uski Yaadon Ke Phool Maine
Meri Yaadon Ko Maala Banayega Vo
Meri Khushian Thi Adhuri Uske Bina
Maang Ko Chand Taron Se Sajayega Vo
Bikhar Jaaungi Main Banke Bistar Uska
Jab Jaan Kehke Mujhko Bhulayega Vo
Kya Kahun Jab Karega Tarif Vo Meri
Sharmaungi Main Aur Tab Muskarayega Vo
Dekhti Hun Main Khawab Roj Hi Kitne
Ankh Khulne Pe Sochu Kab Aayega Vo

Kitni Yaadain Naa Main Sameth Saka





kitne yaadain na mein sameeth saka
kitne baatain hai ju bayaan na howi
kitnay logo k pass hai chaharay
kitne aankhie hai meri aankho mein
kitne qassay tay haffzay mein kabi
kitna jadoo tha ous ke aankho mein
kitna masoor ho geya tha mein shayied
kitna majboor ho geya tha mein shayied
kitne nazdeek a gayee thay woo
kitna magroor ho geya thay mein
kitnay phoolo say bhara keya damaan
kitnay kaanto say dosti kar lee
kitnay gairoo nay ke wafa mujsay
kitnay apnoo nay dushmani kar lee
abb tu kuch yaad nahi rahata!!!

Ajab Hain Raastey





Ajab hain rasty mere k
chlna b nahi mumkin
Zra thoker jo lag jaye
sambhlna b nahi mumkin


Tera chehra meri nazron me
dhundla sa na ho jaye
Bheegi hoi ankho ko
ab malna b nahi mumkin


Mily hain bad muddat k
bala k sard hain lehje
K jalna b nahi mumkin
pighalna b nahi mumkin


Ta'luq tot jany se
umeedein tot jati hain
Dilon me hasraten le kr
behelna b nahi mumkin


Bohat na'kamiyan ly kr
hoa hon khaak ka qaidi
Chlo ab aaj se ghar se
nikalna b nahi mumkin


Usy itna na socha kr
teri adat na par jaye
Phr to aisi aadatain
bdalna b nahi mumkin..!!

Khud Apni Pehchaan Se Anjaan Hoon Main





Khud Apni Pehchaan Se Anjaan Hoon Main,
Apna Tarruf Aapse Karwaoon Kaise..


Kuch Simti Hui Chhoti Si Duniya Hai Meri,
Iss Dil Ki Gehraiyon Mein Aapko Le Jaoon Kaise..


Aasman Ki Uchaiyon Tak Mere Khwab Bikhre Hain,
Apne Armaano Ki Hadd Main Dikhaoon Kaise..


Muskurana Meri Aadat Hai Aansuon Ko Chhupa Kar,
Par Har Gham Ko Apni Hassi Se Behlaoon Kaise..


Dosti Hi Meri Chahat Hai Aur Dost Meri Zindagi,
Ishq Se Apni Berukhi Ka Sabab Bataoon Kaise..


Hokar Meri Sarhadon Mein Shamil
Aap Hi Jaan Lo Mujhe,
Kisi Aur Tarha Aapko ShaiL Se Milwaoon Kaise

Friday, 16 September 2011

Best Dialogues of Shahrukh Khan


Kal Ho Naa Ho

"Aaj..... Aaj ek Haseen aur baant loon.... Aaj ek Dua aur mang loon....Aaj ek aansoo aur pee lo... Aaj ek Zindagi aur ji lo...Aaj ek Sapna aur dekh lo.....Aaj..... Kya pata Kal Ho Naa Ho!!!"

Devdas 

"Kaun kambakhat bardaasht karne ke liye peeta hai ..."



Kabhi Khushi Kabhie Gham 

"Zindagi mein kuch banna ho, Kuch hasil karna ho, Kuch jeetna ho, To hamesha apne dil ki suno, Aur ager dil se bhi koi jawaab na aaye ... To apni aankhein band karke apni Maa aur Baba ka naam lo ... Phir dekhna tum her manzil paa sakoge, Her mushkil aasan ho jayegi, Jeet tumhari hogi ..... Sirf tumhari..."

Mohabbatein 

"Pyaar zindagi ki tarah hota hai, Jiska her morr aasan nahi hota, Her raste per khushi nahi milti, Per jab hum zindagi ka saath nahin chorte, To hum pyaar karna kyon chorein..."
"Koi Pyaar Kare Tumse Kare, Tum jaise ho waise kare, tumhe badal kar jo pyar kare, woh pyaar nahin , sauda kare aur Sahiba Pyar mein Sauda nahin hota"

 Chalte Chalte


"Yaad rakhna ki duniya ke kisi kone mein koi khush hai, kyun ki tum khush ho."
 
Veer Zaara

"Meray bauji kehte hain! sachi muhabbat zindagi may sirf ik bar hoti hay, aur koi bhagwan ya khuda usay nakamyab nahi kartay! ab dekhna yeh hay kay meri muhabbat khuda ki nazar may kitni sachi hay..!"


"us ek....... us ek nadani ky saharye tu mei apni puri zindagi jeenay wala hun...... agar usko bhi mujh sy cheen leti tu yahan sy wapis kya ly ky jata....................."


"Mein nahi janta k muhabbat kya hai...han zaara k liye dil se ek dua zaror nikalti hai k is ke aankhon mein kabhi anso na aye,ye hamsesha khush rahay,,,ab ager ye muhabbat hai tu muhabbat he sahi"


Baadshah 

"Kabhi Kabhi dil jorne ke liye dil torna parta hai, aur dil tor ke jorne wale ko.... pata nahin kya kehte hain"

Kuch Kuch Hota Hai 

"Hum ek baar jite hain, ek baar marte hain, shaadi bhi ek baar hoti hai, aur pyar....ek hi baar hota hai"

Dil Se 

"Bahut pyar karta hoon main tumse.........Dil Se"

Deewana 

"Jaante hain aap, par samajhte nahin...ke yeh sirph ek itefaaq hai...ke aap mere pita hain, aur main aap ka beta"

Duplicate 

"Bebe, ab main tujhe dekhaonga ke tera babloo apne bheje se mannu ko kaise harata hai"

Baazigar 

"Kabhi Kabhi Kuch Jeetne Ke Liya Kuch Haar Na Parta Hai, Aur Haar Ke Jeetne Wale Ko Baazigar Kehte Hain"

Yes Boss

"Dekha na tumhne wahan gate par meri maa kitni khush thi, aur agar Seema kisine bhi use thori si bhi takleef pouchane ki koshish bhi ki na to mein uske saath kuch bhi kar sakta hoon... kuch bhi"

Anjaam 

"door gagan mein ek tara mujhko lagta hai pyaara..mujhko mera tara dede maa mujhe vo tara dede…"


Dilwale Dulhaniya Le Jayenge 

"It's alright Senorita, Bade Bade Deshon Mein, Aisi Choti Choti Baatein Hoti Rahti Hain."

"Mujhe to koi ek ladki pasand aa hi nahi sakti hai... ab kisi ki aankhen achi hai, to kisi naak achi hai, kisi ke honth ache hain, kisi ke kaan ache hain."


"aap bhi kamaal karti hain maa, abhi abhi to apne mujhe beta bola, aur ek hi pal mein paraya kar diya..."

Dil To Pagal Hai
 

"Mar Gaya Rahul"

"Main Pyar wyar mein yakheen hi nahin karta"



"Rahul...naam to suna hoga?"


Darr 


"Ki.. Ki.. Ki...Kiran"

Sunday, 4 September 2011

Saturday, 27 August 2011

Eid Special Shayari



Chaand Raat Aayi Hai


dekhiyeh chand raat aai hai
sath khushian hazar laee hai
tum chaley aao aik lamhey ko
ham bhi manain ke eid aae hai
chaand bhia ya chand lamhon ko
jaisey tum ney jhalak dikhai hai
ham ne qismat ajeeb paee hai
Eid ka din hai aur judai hai
keh rahe hai hawa mujhey!
us ne mehndi abhi lagaii hai





Eid pe Miltay Hain


Pholon ko jis trha bhanwre milte hyn
Aao is “eid” pe hum b kahin milte hyn
Apni is chahat ko
Pyar bari rafaqat ko
Sachi lagan ka rang dete hyn,
Dunia k liye apni mohbat ko misal krte hyn
Rawani k liye jese darya samandar me khud ko pamal krte hyn
Phool jese gulshan se wafa nibane hr bar nikalte hyn



Tum Ao to Hum bhi Eid karein


Hasrat hai tumhari deed karain
tum ao hum b eid karain..
kuch dair to man ko chain mile
kuch roz to man k phool khilain…
kehte hian eid ki amad hai
ab log kuch takeed karain
TUM AO TO HUM B EID KARAIN….
tum se ye aik guzarish hai
ye apne dil ki khwahish hai…
aik bar milo



Eid Ka Din


Is Eid Per
Wo Mere Saath nahi
Magar Wo
Uski Yadain
Us Ki Batain
Sab Mujhe Yaad Hai
Us ne Mujhe
Yaad Kia Hoga
Phir Mere Khialon Mein
Khooye Huey
Tasawar Ke
Kisi Lamhe Mein
Dheeray Se Kaha Hoga

~~~EiD MuBaRaK~~~!


Eid Aayegi Kuch Din Baad


Eid aayegi kuch din bad yaaro, hoob rulaye gi kuch din bad yaaro, jinse bichre ek saal guzra woh bichre yaad dilaye gi kuch din bad yaaro, kabhi tanha na guzri thi koi eid hamari, ye eid tanha guzar jayegi kuch din bad yaaro, jo khawaab dekhti thi kabhi milne k eid par, wohi Ankh Aansoun bahaye gi kuch din bad yaaro..















Wednesday, 27 July 2011

Urdu Poetry Collection





Pooch Lo TuM Bhi Is ZaMane Se,
Pyaar Chhupta Nahi Chhupane Se,


Paas Aate Ho Chhute Ho Baat Karte Ho,
Pyaar Dil Mein Hai To Laao Zuban Pe,
Aag Badhti Hai Ye Bujhane Se,


TuMhe Na Paana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se TuMhe Ganwane Se,


Chalo Ek Dua To Apni Puri Hui,
Mil Liye Apne Ek Deewane Se,


Roye Jaate Ho Bas Roye Jaate Ho,
Kya Hoga Ye Dhan Lutane Se...


--------------------------------------------------------


Seena Dehek Raha Hai To Kya Chup Rahe Koi, 
Kyon Cheekh Cheekh Kar Na Gala Cheel Le Koi, 

Saabit Hua Sukoon-E-Dil-O-Jaan Kahin Nahi, 
Rishton Mein Dhundta Hai To Dhunda Kare Koi, 

Haan Thik Hai Main Apni Ana Ka Mareez Hoon,
Aakhir Mere Mizaaj Mein Kyon Dakhal De Koi...



------------------------------------------------------------
Tark-E-Mohabbat Par Bhi Hogi Unko NidaMat HuMse Zyada, 
Kisne Ki Hai Kaun Karega Unse Mohabbat HuMse Zyada, 

HuMne Maana Aap Mein Hogi Sabr Ki TaaQat HuMse Zyada, 
Dekhiye Lekin Utri Hui Hai Aapki Surat HuMse Zyada, 

Uff Wo TabassuM Halka Halka Haaye Wo Bhigi Bhigi Palkein,
WaQt-E-Rukhsat Upnpe Giraan Tha LaMha-E-Rukhsat HuMse Zyada, 

Koi TaManna Koi Masarrat Dilke Kareeb Aane Hi Na Di, 
Kisne Ki Hai IshQ Mein Yaaron GaM Se Mohabbat HuMse Zyada...



-----------------------------------------------------------------------------------


Raat Bhar Tanha Raha Din Bhar Akela Main Hi Tha, 
Sheher Ki Aabadiyon Mein Apne Jaisa Main Hi Tha, 

Main Hi Dariya, Main Hi Toofan, Main Hi Tha Har Mauj Bhi, 
Main Hi Khud Ko Pi Gaya Sadiyon Se Pyaasa Main Hi Tha, 

Kis Liye Katra Ke Jaata Hai Musafir DaM To Le, 
Aaj Sukha Ped Hoon Kal Tera Saya Main Hi Tha, 

Meri Dhadkan Sunnewala Dil Na Tha Duniya Ke Paas, 
Sab Ki Aahat, Sabki Dhadkan Sunnewala Main Hi Tha, 

Kitne Jazbon Ki Nirali Khusbuyein Thi Mere Paas, 
Koi Unko Chahne Wala Nahi Tha Main Hi Tha...



---------------------------------------------------------------


Teri Hi Tarah HaMein Yaad Aane Wala Ho, 
Tere Siwa Bhi Koi To Satane Wala Ho, 

Har Ek Subah Yahi Dil Mein Hook Uthti Hai, 
HaMein Bhi Naaz Se Koi Jagane Wala Ho, 

Wo Kis UMMid Mein Ghar Mein Rakhein Ke Jis Ghar Mein,
Na Aane Wala Ho Na Koi Jaane Wala Ho, 

Har Ek Se Nazrein Milayi Hai Unke Kuche Mein,
Ki Jaise Ab Koi HuM Ko Bulane Wala Ho, 

Hai Dosto Ke Liye Aayina Nazar Meri, 
Nazar Milaye Jo Nazrein Milane Wala Ho, 

Ke Jaise Koi Bala Mujhpe Aane Wali Hai, 
Haraas Kehta Hai Koi Bachane Wala Ho, 

HaMare Shaher Mein Kya Kya Saje Sajaye Hai Ghar, 
HaMare Ghar Ko Bhi Koi Sajane Wala Ho...



------------------------------------------------------------


"Kaha Tha Na"

kaha tha na
is tarah sotay huye mat chor k jana
mujhe besha jagga dena
bata dena

muhabbat k safar mein sath meray chal nahi sakten
judai k safar mein sath meray chal nahi sakten

tumhain rasta badalna hai
mere had se nikalna hai
tumhain kis baat ka dar tha
tumhain jane nahi deta
kahen pe qaid kar leta

aray pagli muhabat ki tabiet mein zabardasti nahi hoti
jisay rasta badalna ho usay rasta badalnay se
jisay had se nikalna ho usay had se nikalnay se

na koi rok paya hai
na koi rok paye ga
tumhain kis baat ka dar tha
mujhe beshak jagga detay
main tum ko dekh hi leta
tumhain koi dua deta

kam az kam yun to na hota, mere sathi haqeeqat hai
tumharay baad khonay k liye kuch bhi nahi baqi

magar khonay se darat hoon
main ab sonay se darta hoon



---------------------------------------------------------------------------


Kabhi To Mere Bhi Khwaab Pure Honge, 
Kabhi To Mujhe Bhi Laakhon Pyar Karne Wale Honge, 

Ye Khwaab NaMuMkin Hi Sahi, 
Par Dil Mein Ek UMMid Hai Ye Khwab Kabhi To Pure Honge, 

Ho Aaj Palat Kar Bhi Nahi Dekhta, 
Kabhi To Wo Bhi Mujhe Dekhenge, 

Jo Mujhse Baat Karna Bhi Pasand Nahi Karte, 
Kabhi To Wo Bhi Mujhse Baat Karenge, 

Jo Mujhse Nafrat Karte Hai, 
Kabhi To Wo Bhi Mujhse Pyaar Karenge, 

Jo Mujhpar Bharosa Nahi Karte, 
Kabhi To Wo Bhi Mujhpar Bharosa Karenge, 

Jo Mujhe Gareeb SaMajh Kar Thukra Gaye, 
Kabhi To Wo Mujhe Dobara Apnayenge, 

Dil Kehta Hai, 
Kabhi To Mere Khwaab Pure Honge, 

Ab To Dil Toot Sa Gaya Hai, 
Ab To Lagta Hai HuMko Marne Ke Baad Kafan Bhi Naseeb Na Honge, 

Socha Na Tha, 
Mujhe Itna Nafrat Karne Wale Log Honge, 

YaQeen Hi Nahi Aata, 
Mujhe Hazaron Log Baddua Denewale Honge, 

Jo Socha Bhi Na Tha, 
Wo Gunaah Honge, 

Mujh Jaise Gunehgaar Ko Bhi, 
Kabhi To Khushiya Naseeb Hogi, 

Jo Naraz Hogaye, 
Kabhi Wo Apni Naarazgi KhataM Karenge, 

Jo Mujhe Chhod Gaye Tanha, 
Kabhi To Wo Laut Kar Aayenge, 

Aye Dost Itna Bura Bhi Nahi, 
Bas TuM HuM Ko SaMajh Na Sakoge...



----------------------------------------------------


Chehre Pe Khushi Chha Jaati Hai, Aankhon Mein Suroor Aa Jaata Hai, Jab TuM Mujhe Apna Kehte HoApne Pe Guroor Aa Jaata Hai, 


TuM Husn Ki Khud Ek Duniya Ho, Shayad Ye TuMhe MaluM Nahi, Mehfil Mein TuMhare Aane Se, Har Chiz Pe Noor Aa Jaata Hai, 


HuM Paas Se TuMko Kya Dekhein,Jab TuM Mukabil Hote Ho, Betaab Nigahon Ke Aage, Parda Sa Zaroor Aa Jaata Hai, 


Jab TuMse Mohabbat Ki HuMne, Tab Jaake Kahin Ye Raaz Khula, Marne Ka SaliQa Aata Hi Nahi, 

Jeene Ka Shaoor Aa Jaata Hai...

--------------------------------------------------------------------------------


Jab Chand TuMse Sawal Kare, 
TuM Nazrein Usse Chura Lena, 
Aur ShaaM Apni Baahon Mein Le, 
To Aankh Mein NaMi Ko Chhupa Lena, 

Jab Yaadein TuMko Tadpaye, 
TuM Yaadon Ka Diya Bujha Dena, 
Jab Mohabbat TuMse Apnapan Maange, 
Khwahishon Se Apna DaaMan Chhuda Lena, 

Jab Kuch Bhi TuM Na Kar Pao, 
Bas Ek KaaM Kar Dena, 
TuM Mujhko Bhula Dena, 
Haan TuM Sirf Mujhko Bhula Dena...



------------------------------------------------------------


Main TuMko Bahut Aane Lagun Jab Yaad, Chale Aana, 
Bhool Jaana Apni Kahi Har Baat, Chale Aana, 

Judayi Ka Wo LaMha Aur Wo Manzar Dhalte Sooraj Ka, 
Yaad TuMko Jab Aane Lage Wo ShaaM, Chale Aana, 

Bhool Jao TuM Agar Manzil Kabhi Apni, 
Uthana Apne QadaM Phir Meri Taraf, Chale Aana, 

Had Se Guzar Jaye Jab Mera Zabt-E-GhuM,
Aur Main Pukarun TuMko Baar Baar, Chale Aana, 

TuMhare Bin Jeene Ka Ab Tasavvur Nahi Dost, 
Meri Maut Ka Gar TuMko Mile PayaaM, Chale Aana...



------------------------------------------------------------------------

 
Design by Wordpress Theme | Bloggerized by Free Blogger Templates | coupon codes